Wednesday 18 February 2015

Lehron se dar kar nauka paar nahi hoti...


Lehron se dar kar nauka paar nahi hoti

himmat karne waalon ki haar nahi hoti


Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai

chadhti deewaron par sau baar fisalti hai 

Mann ka vishwaas ragon mein saahas bharta hai

chadh kar girna, gir kar chadna na akharta hai

Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti

himmat karne waalon ki haar nahi hoti


Dubkiyan sindhu mein gota khor lagaata hai

ja ja kar khaali haath laut aata hai

Milte na sahaj hi moti paani mein

badta doogna utsaah issi hairaani main

Mutthi uski khaali har baar nahi hoti

himmat karne waalon ki haar nahi hoti


Asafalta ek chunauti hai, sweekaar karo

kya kami reh gayi, dekho aur sudhaar karo

Jab tak na safal ho neend chain ko tyaago tum

sangharshon ka maidaan chhodh mat bhago tum

Kuch kiye bina he jai jai kaar nahi hoti

himmat karne waalon ki haar nahi hoti


-By Harivansh Rai Bachchan



No comments:

Post a Comment